Eid ayi hai Baba kaffan bhej do !
Mera,Munni ka Bhaiya ka, Ammi ka
Or piyari daddi ka,Baba kaffan bheij do
Ab ke kambal bichonay nahi chahiye
Mujhko apnay khilonay nahi chahiye
Apni munni ko gurriyah nahi chahiye
Koi khuwaabooon ki purria nahi chahiye
Koi patlooon,shirt,or ghari bhi nahi
Daddi maa ke liye charri bhi nahi
Eid ayi hai Baba Kaffan bhej do !
Mera bassta na janay kahan kho gaya
Meray kapray na janay kahan dafnn hain
Sarri chiriyaan na janay kahan urr gaye
Janay sab ashiaanay kahan dafnn hain
Daddi maa ke hatooon main tasbeeh thi
Janay ab is ke dannay kahan dafnn hain
Jo meray piyare bhaiya ki ankhooon main thay
Khuaashiooon ke khazanay kahan dafnn hain
Khair ..! Ab dhooondhna kia?
Kaffan Bheij Do
EID AYI HAI BABA...KAFFAN BHEJ DO
"2 Ajnabi dost"
03132174713