Mujay sab atcha lagta hai... Jo tum se musalik jana,
Tumhara meray uper rob jmana, atcha lagta hai...
Tumhara meray uper haq jtana, atcha lagta hai...
koi mosam ho jaana, Koi sa mood taari ho...
Tumain hi sochtay rehna, Mujay ab atcha lagta hai...
Mujay sab atcha lagta hai... Jo tum se munsalik jaana,
Kabhi jab roth jatay ho...
Seham jata ho main dr se...
Kahin tum chor na jao...
Ye sochay ghair laity hain...
Kabi jb door jatay ho, to phir har pal rulatay ho...
Mgr jab lot aatay ho, To mujko atcha lagta hai...
Mujay sab atcha lagta hai.... Jo tum se munsalik jaana,
Amir Ali