* Main To Mar Kar Bhi*~
Zindagi main to sab hi pyaar kiya karty hain
Main to mar kar bhi meri jaan tujhe chahoun ga
Tu mila hay to yeh ahesas huwa hay muj ko
Yeh meri umar mohabbat k liye thori hay
Ik zara sa gam_ e_ doraan ka bhi haq hay jis par
Main ne woh saans bhi tere liye rakh chori hay
Tuj pe ho jaoun ga qurban tujhe chahoun ga
Main to mar kar bhi meri jaan tujhe chahoun ga
Apne jazbbat main nagmaat rachane k liye
Main ne dharkan ki tara dil main basaya hay tujhe
Main tasawar bhi judayi ka bhala kaise karon
Main ne kismat ki lakiron se churaya hay tujhe
Pyaar ka ban k nagebaan tujhe chahoun ga
Main to mar kar bhi meri jaaan tujhe chahoun ga
Teri har chaap se jalty hain khiyaloon main charag
Jab bhi tu aye jagata huwa jadou aye
Tuj ko choo loun to phir aye jane tumana muj ko
Deer tak apne badan se teri khushbo ayee
Tu baharoon ka hay unwan tujhe chahoun ga
Main to mar kar bhi meri jaan tujhe chahoun ga
" jINNU BNP"
03132174713