"Wapsi"
tere muntazir ne
akhari baar muj se yeh kaha tha
loat k koun ata hay
palat k koun aye ga
phir bhi gar kabhi bhool k aa jaye to
usay bass itna keh dena
jissay tu yahen kaheen chor gaya tha
woh akhari dam takk un rahon pe bhatakta raha hay
jin se gaye howon k loat ane ka imkan rehta hay
auron k tu kaaflay tak loat aye
lekin mera hamsafar na jane wapis kioun nahin aya
iss se pehlay k main tassali k do harf kehta
woh phir bola
uss ka kuch samaan mere paas rekha hay
agar kabhi woh loat aya tu.....
itna kehna tha k uss ki jhooli se kuch adhuri duayen
ankhon se lahasil intezaar k chandd ansoo
aur honthon se tumhara naam zameen pe aa gira
aur tum ab loat k aye ho
jab tumhare ane ki aas mein jalti ankhain
bujh k thandi raakh hoyeen....!!!
poetry by JiNNU ZaLiM
"2 Ajnabi dost"
03132174713