Ay meri humdam
Jawab do
Mein kaisay toor doon is khushbu k rishtay ko
Jo titliyoon aur jugnuoon k saffer say shuru hua
Wo lambi masafat k haseen din jo khushbu say bhojal thay
Ay bicheri khushbu
Bata meray dil ki wehshatoon ki kia qeemat hay?
Yeh khamooshiyaan meray qalb o nazer per kiun tari hein?
Suno bicheri khushbu
Kia saari muhabbat ka falsafa yeh hay k jism o jaan juda hoon to *** lagti hay
Na yeh jahan badalta hay na nazaray
Jo dil udas ho to dunya bhi lagti hay
Saray jahan ki dolattein mil ker na chahatoon ka badal hein na zakham ka merhum
Aa meri humdam
Tujhay rooshni k jugnu rangoon ki titliyaan awaz day rahi hein
Tu khushbu ki maanund urr aur
Titliyoon k jugnuoon k dais mein ja basi
Aur ab intezar e sham kerta hoon
Khushbu k lafzoon mein likhi wo sari nazmein
Aur door ki jheeloon mein basnay walay logoon ko sunaoon
"2 Ajanbi Dost"
03132174713