aye manoos ajnabi!
aakhir tum kon ho meray???
tum ney meray jeevan mein
roshni ki ik nayi shama
jalayi hai
pyar ki woh dolat lutaai hai
jis k liye meray dil ki sarzameen
barsoN sey pyaasi hai
tum baarish ki pehli boond ki maanind
meray man k sehra par barsay ho
sooraj ki ujli kiran ki maanind
meray barf hotay khawaboN mein utray ho
woh khauf jis sey barsoN ki
aashnayi thi meri
ab kahin dikhaii nahin deyta
aansooaoN ka shor bhi
ab kabhi sunaii nahin deyta
aye manoos ajnabi!
aakhir tum kon ho meray???
kyun tum ney meri duniya badli hai???
ik nayi zindagi kyun dii hai???
dekho mujh par ik ehsaan yeh karna
meray sapnay aabgeenoN sey nazuk hain
inhain tootnay naa deyna
badlay mein chahay jo maang lo mujh sey
main inkaar nahin karoon ghi
kyun K!
aakhir tum meray manoos ajnabi ho naa...!!!
" 2 Ajnabi dost"
03132174713