Bahut de diya dard use ab nahi dena chahta hun main
bus itna hi kah sakta hun haan use chahta hun main
tumse hi roshan hui thi kabhi soonepan ki dil ki galiyan
ab tumhe pake nahi khona chahta hun main
tumse bus itna hi chahta hun main humdum
tumhari khushi ke siva kuchh nahi chahta hun main
kya batayen kaise kati hai ye kuchh din zindgaani
uski yaad bhi bhoole se nahi karna chahta hun main
ye to tha ki khuda ko manana hi pada mujhe aakhir
phir se laut jaane ke lie nahi aaya hun main
tum jo chahe ab kar lena hume inqaar nahi
maut phir se bhi mili to use pana chahta hun main
mere sabr ko jane kitne dino ki tadap hai
kuchh din tumhare gale lagkar rahna chahta hun main.
"2 Ajnabi dOst"
03132174713