December!!!
December jab bhi ata hai
wo pagli...
phir say beetay mousmoon kii
talkheeon koo yaad kartii hai
purana card partii hai
kay jis may us nay likha tha
may lotoon ga december may
naye kapray banatii hai
wo sara ghar sajati hai
december kay her ek din ko
wo gin gin kar betati hai
jonhi 15 guzarti hai
wo kuch kuch toot jati hai
magar phir bhi
puranay album ko khol kar
mazi ko bulati hai!!
nahee malom ye is koo
kay beetay waqt ki khushian
bohat takleef daiteen hain
mehez DiL ko jalati hain...
yuhi din beet jatay hain
december loot jata hai
magar wo khush-fehem larki....
dobara say calender may
december kay meheenay kay safay koo
moor kar phir say
december kay seher may
doob jati hai....
kay akhir us nay likha tha
MAY LOTOON GA DECEMBER MAY.
"2 Ajnabi dost"
03132174713