Door koyee gaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar
Aasmaan muskaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar
Kisliye yeh gul khiley hain baag mein: kis sey kahoon?
Abra rah mahkaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar
Jag rahey hain parindey bhi aaj kiskee chaah mein?
Wasl unhain jagaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar
Kabhee meiney dooriyoun ko dooriyaan samjhaa na thaa:
Hijra bahut sataa rahaa hai aaj fir: aaou idhar
Baahuoun mein ghir na jaaney kyoun chhitak kar door ho
Koun yuun bahkaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar
Shab andheyree thee, nazar aataa nahin thaa kuchh kaheen
Shafaq raah dikhaa rahaa hai aaj fir:aaou idhar
Saath ley raana'aiyoun ko, yah fazah-e-khushnumaa,
Baar-baar manaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar
Aaj bhi, gar, mil na paaye, kal na jaaney hon kahaan
Yaar, 'abd' bulaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar