" Guriya aaj bhi andhi hai "
Khailtay khailtay donoo mein se
Ek ne doje ki guriya ki noch leen aankhain
Larki cheekhi
Dekho, tum ne meri guriya andhi kar di
Ab sapnay kaise dekhaygi?
Larka naadim hokar bola
Mein jab abu jitna hokar 'shehar gaya tau'
Yeh waada karta hoon tum se
Sab se pehlay
Is ki aankhain laaonga
Suna hai shehar gaya woh ek din
Jaanay is ke baad kya huwa
Yeh maloom nahee hai lekin
Aaj achaanak is larki ko raah mein dekha
Haath mein us ke ek guriya thee
Haan, batlaana bhool gaee mein
Guriya aaj bhi andhi hai...
"2 ajnabi dost"
03132174713