guriya ki tarah
Sahibo, khuwaab parindoon ki tarah hotey hain
chhoona chaho to yeh urh jatey hain
aur phir hath naheen aatey hain
kabhi ik shakh-e-tamanna mehaktey howey gatey rehna
dastaan door key daisoon ki sunatey rehna
her ik nayi rut mein naya geet bana kar lana
kabhi hansna, kabhi tadair rulatey rehna
urhti khushboo ki tarah qaid naheen ho saktey
kissi bhi teer sey yeh said naheen ho saktey
kabhi manzil kabhi raaston ki tarah hotey hain
Sahibo, khuwaab khilonoon ki tarah hotey hain
aabgeenon ki tarah phoot gaye
ik zara tthais lagi, toot gaye!
Yeh kissi umr, kissi waqt kay paband naheen
kabhi guriya ki tarah soyen galey sey lagg kar
kabhi koney mein parrhey rehtey hain beganey sey
kissi manoos si aahat ka ishara paa ker
dehaan key taaq mein sajtey hain pari-haney sey
khuwahisheN dil mein khilati hain sitarey kya kya!
aankh mein khuwaab ka ik chand utarr aaney sey
kabhi apney kabhi ghairoon ki tarah hotey hain
Sahibo, khwaab khilonoon ki tarah hotey hain...
"2 Ajnabi dost"
03132174713