hijar main wasal ke aadaab kahan aatey hain
hosh main ab terey betaab kahan aatey hain
phir kar gia muztarib lutf e rafaqat ka saraab
mehfal main ab wo bayhijab kahan atey hain
bikhar gia ho ga kisi toot-tay sitaary ka noor
mairy ghar warna mahtaab kahan aatey hain
hansi hansi main ho aagia wo zikar wafa ka
tery andaaz main inqalaab kahan aatey hain
kisi raqeeb nay dia ho ga taana baywafai ka
teri ankhon main ab sailaab kahan aatey hain
behaka dia ho ga kisi sukhanwar nay shyed
baat karny ke usey aadaab kahaan aatey hain
khial saqi ko aagia sahar ki aamid ka warna
tery meh khany say sairaab kahan aatey hain
meri khamoshi main koi raaz nahi posheeda
bohat sawaalon ke jawaab kahan aatey hain
abhi to dhoond raha hoon main khud ko be
iss rah guzar main ahbaab kahan aatey hain
" JINNU BNP"
03132174713