Intikhab -e- Nasir kazmi
Author Nasir Kazmi
kia din mujhe ashiq naa dekhaae
ek baar jo aye phir na aye
is pekkar naaz kaa fasaana
dil hosh main aye to sunaaye
woh roh khayal wo jaan-e-mazmoon lay
dil is ko kahaan say dhoundh laaye
aankh thi kay do chalaktay saagar
aaraz kay sharab tharthraye
mehki howi saans narm guftaar
har ek rawaish pay gul kehlaae
raahon pay ada ada say raqsaan
anchal main heya say munh chupaaye
aurti howee raah zulf yun preshaan
jase koi raah bhol jaye
kuch phool bars pare zameen par
kuch geet hawa main lehlaahie