kisi papeehay ne koi barkha ka geet gaaya to kiya karo gaye
abi to "phaagan" ka hai maheena, jo "saawan" aya to kiya karo gaye
hansein gi kaliyaan, khilein gay gunchay, sajay gi phoolon ki sej lekin
kia tha aanay ka jis ne waada, wohi na aaya to kiya karo gaye
abi to hai do-peher ka aalam, abi to chaaya nahi andhera
juda tumhaaray badan se hoga tumhaara saaya to kiya karo gaye
ufaq pe nazrein jama k tum ne kiya bharosa jin aahaton ka
un aahaton se b tum ne aakhir fareb khaaya to kiya karo gaye
ye mashwara apnay dil se kar lo shikast-e-jaam-o-subuu se pehlay
tumhaari toba ka baadlon ne mazaaq uraaya to kiya karo gaye
zameen se mayoos ho k tum chaand ki taraf ja rahay ho lekin
wahan b tum ne jo zindagi ka nishaan na paaya to kiya karo gaye
QATEEL tum jisko chaahtay ho, chupaao laakh uska naam piyaaray
tumhaari sanjeedgi ko mosam ne gud'gudaaya to kiya karo gaye
"2 Ajnabi dost"
03132174713