Jiyaa Ji utho ab kooch karo k jawab men likhi poetry
Yeh Kiss Ne Kaha Tum Koooch kro Jiyaa JI
yeh kis ne kaha, tum kooch karo
baatein na banao Jiyaa ji,
yeh shehar tumhara apna hai
issay chor na jao, Jiyaa ji,
ek rooz to kiya wo hashar talak
rakhay gi khula darwaazay ko
kab laut ke ghar ko aao gaiy
sajni ko batao, Jiyaa ji,
kiya sooch ke tumne seenchi thi
ye kaisi kiyaari chahat ki
tum jinko hansaatay aye ho
unko na rulao, Jiyaa ji,
tum laakh seyaahat ke ho dhani
ek baat humari bhi maano
koi jaa ke jahan se aata nahi
uss des na jao Jiyaa ji,
nahi sirf Qateel ki baat yahan
kahin Sahir, kahin Aali hain
tum apnay puraanay yaaroN se
daaman na churaao Jiyaa ji,
ye shehar tumhara apna hai
issay chor na jao, jiyaa ji, jiyaa ji, jiyaa ji
ye kis ne kaha, tum kooch karo....
"2 Ajnabi dost"