Kuch Maray Dil se
Kaha tha na…….
is tarhan sote howay chor ke mut jana
mujhe beshak jaga dena,
bata dena
ke tumhain rasta badlna hai,
mairy hud say nikalna hai,
Tumhain kis baat ka dur tha ??????????
kia main janay nahin daita?
kahin pay qaid kar laita??????
aray pagal mohabbat ki tabiat mai zabrdasti nahin hoti
jissay rasta badlna hai ussay rasta badlanay say
jissay hud say nikalna ho ussay hud say nikalnay say
na koi rok paya hai na koi rok payega
tumhain kiss baat ka durr thaaa??
mujhe jaga daitayyy
buss yeh yaad rakhna aye hum dum
ab in jagti ankhon mai
khuwab tumharay he bastay hain
in ankhon kay ansoon mai
tumhari yaadon kay deep
ban kay mom chalaktay hain
buss yaad yeh rakhna aye mairay hum dum
in ankon ki roshni kay bujhnay tak
mai intezar kay deep jalaonga
mairy ghar kay rastay pay
tairi qadmon ki ahat ko sun kay he jaonga
apni sansoon kay thumnay tak
apnay jism kay marnay tak
tujhe dil mai basoonga
buss taira kahlaooonga
kay sansoon kay thamnay ki waja bhi sirf yahi ho gi
“iss dunia mai na sahi , agli dunia mai to mairi ho gii”
" JINNU FERRARI"
03132174713