kwaboo ko baatain karnay do
ankhoo may jo kwab hai unko baatain karnay do
hontoo say woh lafz khoo jo kajal khata hai
mosam jo sandasa laia hai us ko parh to lo
sun to lo woh raaz jo piasa sahil kahta hai
ati jati lahroo say kia pooch rahi hai rait?
badal ki dahleez per taray kiokar bahtay hai?
jharno nay us geet ka mhukra kasay yaad kia?
jis kay har ik bool main hum tum baatain kartay hai
raha guzar ka,mosam ka,na barish ka muhtaj
wo dria jo ik dil kay under bahta hai
kha jata hai har ik shla waqat ka atashdan
bus ik naqash muhbbat hai jo baqi
ankhoo mai jo kwab hai unko baatain karnay do
hontoo say wo lafz khoo jo kajall kahta hai