"main...aur meri tanhaiyaan...aksar yeh baatein karte hain
tum hoti...to kaisa hota..
tum yeh kehti...tum woh kehti
tum is baat pe heraan hoti
tum us baat pe kitnaa hansti..
tum hoti to aisa hota
tum hoti to waisa hota
main...aur meri tanhaiyaan...aksar yeh baatein karte hain
yeh raat hai...ya tumhaari zulfein khuli huii hain
hai chaandni...ya tumhari nazroo se meri raatein dhuli huii hain..
yeh chaand hai ya tumhara kangan
sitaarein hain ya tumhara aanchal
hawaa ka jhonka hai ya tumhaare badan ki khushboo..
yeh pattioon ki sar-saraahat
ke tum ne chupke se kuch kahaa hai..
yeh sochta hoo mein kab se gum sum
ke jab ke mujh ko yeh bi khabar hai
ke tum nahi ho...kahi nahi ho...
magar...yeh dil hai ke keh raha hai
ke tum yahii ho...yahi kahii ho