mere saath tum bhii duaa karo yuuN kisii ke haq men buraa na ho
kahiin aur ho na ye haadsaa koii raaste men judaa na ho
mere ghar se raat kii sej tak vo ik aaNsuu kii lakiir hai
zaraa barh ke chaaNd se puuchhnaa vo isii taraf se gayaa na ho
sar-e-shaam Thahrii huii zamiin, aasamaaN hai jhukaa huaa
isii morr par mere vaaste vo charaaG le kar kharraa na ho
vo farishte aap hii DhuuNDhiye kahaaniyon kii kitaab men
jo buraa kahen na buraa sune koii shaKhs un se Khafaa na ho
vo visaal ho ke firaaq ho terii aag mehakegii ek din
vo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo charaaG ban ke jalaa na ho
mujhe yuuN lagaa ki Khaamosh Khushbuu ke hoNTh titlii ne chhuu liye
inhiin zard patton kii oT men koii phuul soyaa huaa na ho
isii ehtiyaat men main rahaa, isii ehtiyaat men vo rahaa
vo kahaaN kahaaN mere saath hai kisii aur ko ye pataa na ho
"2 Ajnabi dost"
03132174713