Musalsal roakti hon us ko shehr-e-dil main anai se
magar wo kuun rukta nahi dewaar dhanai se?
Bhala kya dukh kai angan main sulagti larkiyan janain
kabhi chuptai hain ansoo anchalon main moonh chupanai se?
Abhi to fasl taza hai hamarai harf-o-mani ki
abhi dartai nahi hum mausamon kai anai janai se
Abhi to ishq main ankhain bujhee hain dil salamat hai
zameenain banjh hoti hai kabhi faslain jalanai se?
Tujhai tanha mohabat kai ye darya paar kerna hai
nidaamat hogi us kai hoslon ko aazmanai se
Humain kis zarf kai khareedar kai qissai sunata hai
tujhai aay shehr hum bhi jantai hain ik zamanai se
Tujhai bhi zabt-e-gham kai shauq nai pathar bana dala
tujhai aay dil buhat roka tha rasm-o-rah nibhanai se
"2 Ajnabi dost"
03132174713