Paagal laRki rooth na jaana
Bilkul sach sach baat bataana
Teri aankheiN, sundar sapne
Tera badan, malboos ki shikneiN
Tere hoNtoN ki ye laali
Tere kaanoN ki ye baali
Jab sab mil ke haNste heiN
To tera dil bindiya ban ke
Tere maathe pe sajta hai
Aor koi gehri ankhoN waala
Us ma jagmag karta hai
To mujh ko kuch yaad aata hai
Apna maazi, apna maatha
Aor koi gehri aankhoN waala
Paagal laRki rooth na jaana
Ma phir aik duaa karti hooN
Shaayd ab poori ho jaaye
Tere maathe ki ye bindiya
Sach much hi teri ho jaaye
Paagal laRki rooth na jaana
"2 Ajnabi dost"
03132174713