Pather k jigar walo gham mein wo rawani ho
khud raah bana lay ga behta hua pani hai
ik zahen-e-preshan mein khuab-e-ghazalistan hai
pather ki hifazat mein sheeshay ki jawani hai
dil sey jo chatey baadal to aankh mein saawan hai
thehra hua darya hai, behta hua pani hai
aye peer-e-khirad mandaan dil ki bhi zaroorat hai
ye shaher-e-ghazaalan hai, ye mulk jawani hai
gham wajah-e-figar-e-dil,gham qarar-e-dil
aansu kabhi sheesha hai, aansu kabhi pani hai
is aasrah-e-dil per hum ney bhi kafan pehna
huns ker koi poochay ga kia jaan gunwani hai
din talkh haqaaiq key sehraaon ka suraj hai
shab gasoo afsana yadoon ki kahani hai
wo misra-e-aawara dewanon peh bhari hai
jis mein terey gesoo ki bey rabt kahani hai
"2 Ajnabi Dost"
03132174713