Suna hai haafza us ka bala ka kaam krta hai
Usay bachpan ki sab batein abhi tak tak yaad hein aisay
K jasiay baat kal ki ho
usay subah calender per
Naye tareeq ko laana
Kabhi bhoolay....... na mumkin hai !
Woh ye bhi yaad rakhti hai k kab usne
Kahan kis din aur kis function mein jana hai....
Kisay ghar per bulaana hai
Kisay Khud jaa kr laana hai
Aur... usay tareeq k au'oraaq per likhay
Sabhi qisay yun azbar hein k jaisay us per guzray hon
Woh apne hath ki nazuk si poron per
Ginaa sakti hai kab kis ne aur kis jung mein
Adoo se maat khai thi
Usay maloom hai kis dairy pe
Usne kab kya baat likhi thi
Jahan per jeet likhana tha....
Wahan kun "MAAT" likhi thi.....
Bala ka haafza uska ....
Woh sub kuch yaad rakhti hai
Bajuz us ik wade k
Jo mere sath uska tha
Wafa mein rung bharnay ka
Sada ik sath jeenay ka
Sada ik sath mernay ka
"2 Ajnabi dost"
03132174713