Sundar sundar sapne' the'
Kya kuch socha karte' the'
Saawan ki barsaatoN ma
Raoshan chaaNdani raatoN ma
Khwaab huiiN wo baateiN sab
Ghor huiiN wo raateiN sab
Sundar sapna toot gaya
Tha jo saathi rooth gaya
Ab dil ko behlate' haiN
Us ko ye samjhaate' haiN
Sapne' to bas sapne' haiN
Sapne' toot hi jaate' haiN
SapnoN ka phir rona kya
Ro ro jeewan khona kya
Geet khushi ke gaata chal
Har gham ko thukraata chal
Bhool ja beeti baatoN ko
Raoshan chaaNdani raatoN ko
Par dil to bas dil hi hai
Ziddi, nadaaN, paagal hai
Kitna hi samjhaao is ko
Kitna hi behlaao is ko
Bhoole' na ye beeti baateiN
Har jaanib heiN bikhri yaadeiN
YaadoN ka azaab hai taari
AshkoN ka sailaab hai jaari
Gham khushiyoN se jeet gaya hai
Sukh ka saawan beet gaya hai
Raat guzarna baaqi hai
SaaNs ka chalna baaqi hai
"2 Ajnabi dost"
03132174713