Suno zara tum qareeb aao
Suno kabhi agar ye chand chehra
Dukhon ke suuraj ki garmiyoN se
Suno agar zard paR jaaye
Suno ke in jheel jaisi
Tumhaari aankhoN ki putliyoN ma
Kabhi ho aasaib ka basaira
To laot aana
Suno kabhi gar tumhaare baalon ki badliyun ma
KaheiN se chaandi utar bhi aaye
To gham na karna
Suno agar manziloN ke peeche
Tum apne khwaaboN ke raaste par
Safar ko aadhe ma choR jaao
To laot aana
Suno kabhi gar ye kaanch jaisa badan tumhaara
Same ke aage thehar na paaye
Tumhaare gaaloN pe silwataiN hoN
Suno judaai ke ratjagoN se
Tumhaari aankheiN jo soojh jaayeiN
Suno ke jab ye siyah kaajal
Tumhaari aakhoN ma phail jaaye
To laot aana
To laot aana
Ma tum ko jaana
JahaaN khaRa hooN
WaheiN milooN ga
"2 Ajnabi dost"
03132174713