tere Khushbuu main base Khat main jalaata kaise
jin ko duniyaa kii nigaahon se chhupaaye rakhaa
jin ko ik umr kaleje se lagaaye rakhaa
deen jin ko, jinhen iimaan banaaye rakhaa
jin kaa har lafz mujhe yaad thaa paanii kii tarah
yaad the mujh ko jo paiGaam-e-zubaanii kii tarah
mujh ko pyaare the jo anmol nishaanii kii tarah
tuune duniyaa kii nigaahon se jo bachakar likhe
saalahaa-saal mere naam baraabar likhe
kabhii din main to kabhii raat main uThakar likhe
tere Khushbuu main base Khat main jalaataa kaise
pyaar main Duube huye Khat main jalaata kaise
tere haathon ke likhe Khat main jalaata kaise
tere Khat aaj main gangaa main bahaa aayaa huuN
aag bahate huye paanii main lagaa aayaa huuN
"2 Ajnabi dost"
03132174713