TERE WAADON KI KASHMAKASH MAIN JEE RAHI HUN.
Ere waadon ki kashmakash main jee rahi hun
kuch soch rahi hoon bekhayal bhi reh rahi hun
teri tasweer hai nigahon ke samne masoom see
tujhe dekh rahi hoon zakhm bhi see rahee hun
dekh aaj tu kahin nahi aur main jee rahi hun
teri yaadon ka kafan odhe tanhaai main pal rahi hun
ek jeeti-jaagti mujjassim ban gai hun
na hansti hun na roti hun bas behaal si main rehti hun
na shikan chehre pe koyi na kisi se kuch kahti hoon
sakht shaam kee dahlaeez par kahdi
khwabon ka intezaar kar rahi hun
tu jo meri daraaz men chipa gaya tha
woh khat parh rahee hun aur intezaar kar rahee hun
us shaam ka, jab tu aaiga aur seene se mujhe lagaiga
apni zindagi banaiga aur saare gam le jaaiga
tere intezaar main jamaai ansoo tujhe dekh sab bahadun
is khwaab ko ankhon main liye main har pal jee rahi hoon
khaton me toone wapsi ka zikr kiya hai
tabhi to main hijr ka har ghoont pii rahi hun
ke tu mere liye aab-e-hayat layega
tu mujhe dulhan sa sajayega
tu yahi khat phir se mujhe parh ke sunaiga
aur kahega main kahtaa tha na aaunga
tabhi to aaya hun kahan chipogi mujh se
tumhara saya hun tabhi to aaya hun
zindagi ke ranj-o-gam mitaane aaya hun
tumko tumhi se churaane aaya hun
saare gile shikve mitaane aaya hun
ek nayi zindagi dene aaya hun...
"2 Ajnabi dost"
03132174713