Zindage to tum be ho zindage to hum be hain
Aadmi say dartay ho?
Aadmi to tum be ho aadmi to hum be hain
Aadmi zuban be hai aadmi bayan be hai
Es say tum nahee dartay
Harf aur maani kay reshtaa haay aahan say aadmi hai wabasta
Aadmi kay daman say zindage hai wabasta
Es say tum nahee dartay ankahee say dartay ho
Jo abhee nahee aae us gahree say dartay ho
Us gharee ke aamad kee agahee say dartay ho
Pehlay bhee to guzray hain
Dor naar sae kay bay rayaa khudaee kay
Pher bhee yah samjhtay ho heech arzoo mandi
Yah shab bay zuban bandi hai rahay khudawandy
Tum magar yah kyaa janu
Lab agra nahee hiltay hath jaag uthtay hain
Hath jaag uthtay hain raah ka nishaan ban kar
Noor ki zuban ban kar,hath bol uthtay hain subah ki azaan ban kar
Roshnee say dartay ho?
Roshnee to tum bhee ho roshnee to hum bhee hain
Roshnee say dartay ho,shahar kay faseloon par
Dyu ka jo saya tha pak hogya akher
Raat ka libadaa bhee
Chaak hogaya akher,khaak hogaya akher
As daham ay insan say fard ki nawa aae
Zaat ki sadaa aae
Rahay shauk main jasay rah ro kahon lapkay
Ek naya junon lapkay,aadmi chalak uthay
Aadmi hansay daikho,shahar pher basay daikho
Tum abhee say dartay ho?
"2 Ajnabi dost"
03132174713