"Tumhein pata hai mohabbat hai kia
Kehte hein isko kia
Chalo !!
Batate hein hum tum ko
Hum ne kia hai jana isko
Mohabbat ko baad-e-saba mana
Kis tarah hai isko pehchana....
Jo lamhe bhar ko Zeest bakhshti hai
Zindagee ka pata deti hai....
Nahin mohabbat yeh hoti nahin hai..
Haan !!
Mohabbat to mehaz lehr hai...
Jo sang sang saath hoti hai...
Nahin mohabbat to yeh hoti nahin hai....
Haan!!
Mohabbat to mausam ki manind hai
Jo her bashr ko sawan se ziada bhata hai...
Laikin......
Mausam to apni muddat po0ri
Kar k guzar jata hai
Aisi to nahin hoti mohabbat
To kia hai yeh???
Kia sawan???
Kia mausam???
Kia haqeeqi??
Kia majaazi??
Haan
BUs hai itna pata
Jan'ne ko hai is zeest se gila
Hai mukhtasir yeh zindagee
Mohabbat ko samajhne
Parakhne k wastay...
Choro is qisse ko
Jano itna
Jo samjha jo mana
DASHT-E-TALAB isko gardana.......
+92 300 2711 588
~Tµm ßîñ~