ussnay mairy seenay per sur rakh kar pocha
jana! apnay jeewan ka wo lamha tou batlao mujh ko
jiss k badlay mil sakty hain sabhi seetary
dariyaon k sary mooti
sawan ki phaili barish k sary qatry
ujlay chand ki sari kirnain
dharti k seenay say liptay sabhi khazany
sary mousam sabhi duain
pholon ki rangeen qabbain
patti patti parnay wali bheeni shabnam
easma e aazam
us nay mairy seenay per sar rakh kar pocha
jana! apnay jeewan ka wo lamha tou batlao mujh ko
jis k badlay sab kuch apna sab kuch ,sab kuch
apna sub kuch day sakty ho
main nay us ka matha chooma or bola jub
phaili bar mairy seenay per tum nay apna sar rakha tha
+92 300 2711 588
~Tµm ßîñ~